Follow
Partner with Us
Mann Ki Medha, S-2, Ep- 29 | Know how you start learning
Mann Ki Medha, S-2, Ep- 29 | Know how you start learning
00:00 / 00:00

Available Episodes

EPISODE 94

Hum sabhi kisi na kisi se margdarshan pana chahte hain, Ye wahi wyakti hota hai jiska hum mann se samman karte hain. Childhood me jaha hame apne parents se guidance milti hai, wahi ... Read more

Hum sabhi kisi na kisi se margdarshan pana chahte hain, Ye wahi wyakti hota hai jiska hum mann se samman karte hain. Childhood me jaha hame apne parents se guidance milti hai, wahi bade hokar hum apne Guru ya Mentor ki guidance me aage badhte hain. Par kya Param satta, Parmatam ya GOD hame esa koi marg dikha pate hain? Akhir kyu hoti hai hame GOD ki zarurat, Health shots podcast Mann ki Medha me Life coach Dr Medhavi jain kar rahi hain baat. Read more

EPISODE 93

Hum aksar dainik pooja path ya anushtano adhyatm maan lete hain. Jabki Dharm, Dharmik anushthan aur adhyatm ye teeno hi alag alag hain. Yahi vajah hai ki bahut se log , inhe ek dus ... Read more

Hum aksar dainik pooja path ya anushtano adhyatm maan lete hain. Jabki Dharm, Dharmik anushthan aur adhyatm ye teeno hi alag alag hain. Yahi vajah hai ki bahut se log , inhe ek dusre ka paryay maan lete hain. Aaoiye aaj adhyatma ke hawale se Hindu shabd ki samajhne ki koshish karte hain. Read more

EPISODE 92

Digital era me hamare pass har cheez ke solution ke liye google suggestions hoti hain. Iske bawajood hum kisi na kisi Mentor ya Guru ki talaash me rahte hain, Jo hame thik se life ... Read more

Digital era me hamare pass har cheez ke solution ke liye google suggestions hoti hain. Iske bawajood hum kisi na kisi Mentor ya Guru ki talaash me rahte hain, Jo hame thik se life skills ya education de sake. Aakhir kyu hai hame ab bhi inki zarurat. Guru Shishya paramapara par bat kar rahi hain life coach Dr. Medhavi Jain Health Shots podcast Mann Ki Medha ke iss episode me. Read more

EPISODE 91

Jiwan bhar hum sabhi kuchh na kuchh seekhte rahte hain. Fir bhi ek sthiti esi aati hai ,jab hame lagta hai ki hum ab bhi bahut kuchh nahi jante. Science me har cheez ke liye ek log ... Read more

Jiwan bhar hum sabhi kuchh na kuchh seekhte rahte hain. Fir bhi ek sthiti esi aati hai ,jab hame lagta hai ki hum ab bhi bahut kuchh nahi jante. Science me har cheez ke liye ek logic set hota hai, jabki hum bahut bar logics ki bajaye anubhootiyon par vishwas karte hai. Tab kya hai zyada trustworthy soul science ya material science. Healthshots podcast Mann Ki Medha ke iss episode me bata rahi hain life coach Dr. Medhavi Jain. Read more

EPISODE 90

Success hame hamesha apni lagti hai, Jabki failure ke liye hum koi na koi excuse dhoond lete hain. Kaun hai kisi bhi incident ya accident ka zimmedar? aaiye Healthshots podcast Man ... Read more

Success hame hamesha apni lagti hai, Jabki failure ke liye hum koi na koi excuse dhoond lete hain. Kaun hai kisi bhi incident ya accident ka zimmedar? aaiye Healthshots podcast Mann ki Medha ke aaj ke iss episode me samajhte hai, kya causality principle yani Karya Karan Siddhant. Stay tuned with HT Smartcast. Read more

EPISODE 89

Jiwan bhar hum sabhi apni apni tarah se hard work karte hai. Apni personla and professional life ke liye. Par kuchh logo ka hard work unhe jaldi aur zyada pay karta hai, Jabki kuch ... Read more

Jiwan bhar hum sabhi apni apni tarah se hard work karte hai. Apni personla and professional life ke liye. Par kuchh logo ka hard work unhe jaldi aur zyada pay karta hai, Jabki kuchh log bhaut mehnat ke baad bhi kamyab nahi ho pate. Kya ye wakayi Destiny ka mamla hai! Ya hum khud apni destiny set kar sakte hain? Healthshots podcast Mann Ki Medha ke iss episode me life coach Dr. Medhavi Jain ke sath karte hai destiny par bat. Read more

EPISODE 88

Penance means Tapasya asla me kya hai? Zyadatar log ise sirf adhyatm se jodte hain, Jabki iski zarurat hum sabhi ke liye jiwan ke har star par padati hai. Fir chahe wo hamara niji ... Read more

Penance means Tapasya asla me kya hai? Zyadatar log ise sirf adhyatm se jodte hain, Jabki iski zarurat hum sabhi ke liye jiwan ke har star par padati hai. Fir chahe wo hamara niji jiwan ho ya professional life. Bina tapasya aur patience ke hum perfection ko prapt nahi kar sakte. Healthshots podcast Mann ki Medha ke iss episode ko suniye, jisme wo Tapsya ki anivaryata ke bare me bat kar rahi hain. Read more

EPISODE 87

Samay kya hai? aur iski shuruat kahan se huyi, hum me se bahut sare log iske bare me jananaa chahte hain. Scientist Big Bang se iski shuruat batate hain. Jabki Adhyatm me ise aadi ... Read more

Samay kya hai? aur iski shuruat kahan se huyi, hum me se bahut sare log iske bare me jananaa chahte hain. Scientist Big Bang se iski shuruat batate hain. Jabki Adhyatm me ise aadi aur ant se bhi pare kaha gaya hai. Toh kya hai asal me samay. Healthshots ke is Hindi Podcast Mann Ki Medha ke iss episode me Dr. Medhavi jain kar rahi hain ise khojne me hamari madad. Read more

EPISODE 86

Universe ke sandarbh me time ek zaruri hissa hai. Par jab overall time existence ki bat aati hai, tab ise ek illusion mana jata hai. Tab asal me time kya hai aur aap iski value ko ... Read more

Universe ke sandarbh me time ek zaruri hissa hai. Par jab overall time existence ki bat aati hai, tab ise ek illusion mana jata hai. Tab asal me time kya hai aur aap iski value ko kaise samajh sakte hain, iss par bat kar rahin hain life coach Dr. Medhavi Jain, Healthshots podcast Mann ki Medha ke iss episode me. Read more

EPISODE 85

Kya aap kisi bhi wyakti, wastu ya sthiti ke sabhi pahluo ko samajh sakte hain? Kya aap apne swayam ke sabhi paksho se wakif hain? Asal me har sthiti bahuayami hoti hai aur hum uske ... Read more

Kya aap kisi bhi wyakti, wastu ya sthiti ke sabhi pahluo ko samajh sakte hain? Kya aap apne swayam ke sabhi paksho se wakif hain? Asal me har sthiti bahuayami hoti hai aur hum uske bahut kam ansh ko samajh pate hain. Ise 'Syadvad' bhi kaha gaya hai. Healthshots podcast Mann ki medhha ke iss episode me life coach Dr. Medhavi jain, Syadwad yani 7 staro par kisi bhi paksh ko samajhne par bat kar rahi hain. Jo apki zindagi me ek bada badlav la sakta hai. Read more

1 2 3 10
×

COOKIES AND PRIVACY

The Website uses cookies to ensure you get the best experience on our website. If you continue browsing you will be providing your consent to our use of these.

Privacy Policy