Follow
Partner with Us
It's time to tame your temper for a Healthy Zindagi!
It's time to tame your temper for a Healthy Zindagi!
00:00 / 00:00

Available Episodes

EPISODE 109

Head, spine aur nerves ye wo zaruri hisse hain jo apke poore shareer aur sabhi senses ko control karte hain. Isliye inki sehat par dhyan diya jana aur bhi zyada zaruri hai. Health ... Read more

Head, spine aur nerves ye wo zaruri hisse hain jo apke poore shareer aur sabhi senses ko control karte hain. Isliye inki sehat par dhyan diya jana aur bhi zyada zaruri hai. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me Neurologist Dr Vinit Banga bata rahe hain neurological problems ke causes, symptoms aur treatment ke bare me. Tune in kijiye health shots podcast Yogita Yadav ke sath. Read more

EPISODE 108

Pareshan hona, gussa ana ya udas hona kisi bhi tarah se bura nahi hai, jab tak ki ye apke daily routine aur day to day task ko disturb nahi karta. Unpleasant ya negative emotions k ... Read more

Pareshan hona, gussa ana ya udas hona kisi bhi tarah se bura nahi hai, jab tak ki ye apke daily routine aur day to day task ko disturb nahi karta. Unpleasant ya negative emotions kisi me bhi ho sakte hain. par agar ye apki productivity, health aur relationship ko affect karne lage toh zaruri hai expert ki help lena. Fortis health care me Clinical psychiatrist Dr. Trideep Choudhary bata rahe hain mental health issues ke causes, triggers, symptoms aur treatment. Tune in kijiye healthy Zindagi Podcast Yogita Yadav ke sath. Read more

EPISODE 107

Delhi- NCR sahit poore desh me air pollution badhta ja raha hai. Har sal lagbhag yahi hal hota hai. Jiske karan bahut sare logo ko breathing issue, allergy, cold and cough jesi ... Read more

Delhi- NCR sahit poore desh me air pollution badhta ja raha hai. Har sal lagbhag yahi hal hota hai. Jiske karan bahut sare logo ko breathing issue, allergy, cold and cough jesi samasyao ka samana karna padta hai. Inse bachne aur behtar sans lene ke liye senior consultant pulmonology Dr Avi Kumar de rahe detail information. Lung health ko boost karne ke liye tun in karen Healthy Zindagi ka ye episode Yogita Yadav ke sath. Read more

EPISODE 106

Young adults ki 90% population apne weight se khush nahi hai. sabhi weight loss karna chahte hain. Par inme se bahut kam hain jo weight loss ke liye mehnat karte hain. Jabki ... Read more

Young adults ki 90% population apne weight se khush nahi hai. sabhi weight loss karna chahte hain. Par inme se bahut kam hain jo weight loss ke liye mehnat karte hain. Jabki zyadatar ko ye pata hi nahi hota ki weight loss la sahi tarika kya hai. Toh Healthy Zindagi ke iss episode me Dietician Vidhi chawla se janiye festive season me bhi weight loss aur weight maintain karne ka sahi tarika. Is episode me apke sath rahengi apki host Yogita Yadav. Read more

EPISODE 105

Menoapaus reproductive life ka ek esa padav hai, jaha par har stree ko pahuchna padta hai. Period cycle ke end se jaha aap relax ho jati hain , wahin iske sath bahut sare health is ... Read more

Menoapaus reproductive life ka ek esa padav hai, jaha par har stree ko pahuchna padta hai. Period cycle ke end se jaha aap relax ho jati hain , wahin iske sath bahut sare health issue bhi face karne padte hain. Inse better way me deal karne ke liye zaruri hai ki aap iske bare me sab kuchh jane. Healthy Zindagi podcast me Menopause ke bare me bat kar rahi hain Senior gynecologist Dr Surbhi Singh, aur unke sath hain Yogita Yadav. Read more

EPISODE 104

Badalte mausam me cold, cough, flu aur fever ke mamle lagatar badhte ja rahe hain. Inke symptoms Dengue, malaria aur covid-19 se milte julte lagte hain. Healthy Zindagi ke iss epis ... Read more

Badalte mausam me cold, cough, flu aur fever ke mamle lagatar badhte ja rahe hain. Inke symptoms Dengue, malaria aur covid-19 se milte julte lagte hain. Healthy Zindagi ke iss episode me Dr. Shrey Shrivastava bata rahe hain flu, fever aur other viral disease ke symptoms, causes aur treatment ka sahi tarika. Tune in kijiye Health Shots Podcast Healthy Zindagi Yogita Yadav ke sath. Read more

EPISODE 103

Breast Cancer ya stan cancer duniya bhr me mahilao ki sehat ke liye ek khatra ban raha hai. 2020 tak globally 2.3 million mahilao me breast cancer detect hua. Jinme se 6,85000 mahi ... Read more

Breast Cancer ya stan cancer duniya bhr me mahilao ki sehat ke liye ek khatra ban raha hai. 2020 tak globally 2.3 million mahilao me breast cancer detect hua. Jinme se 6,85000 mahilao ko iske karan jan gavani padi. India me 27% women breast cancer se affected hain. Isliye ye zaruri hai ki hum sabhi iske bare me zyada se zyada jane. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me Surgical Oncologist Dr. Mansi Chowhan se Breast Cancer ke causes, symptoms aur advance treatment par bat kar rahi hain host Yogita Yadav. October Breast Cancer Awareness Month hai, aaiye iss month me hum self-examination ke sath tez karen breast cancer ke khilaf global war. Read more

EPISODE 102

India aur globally young logo me heart health issues badh rahe hain. Aksar hum apne aas paas heart attack, cardiac arrest aur cardiovascular disease ke bare me sunte hain. Ye kyu h ... Read more

India aur globally young logo me heart health issues badh rahe hain. Aksar hum apne aas paas heart attack, cardiac arrest aur cardiovascular disease ke bare me sunte hain. Ye kyu hoti hain? Inse kaise bacha ja sakta hai aur kya ho sakta hai healthy heart ke liye sahi lifestyle aur upchar, Janne ke liye sune Healthy Zindagi season 2 ka ye episode.Isme Dr. Nishith Chandra se baat kar rahi hain Health Shots Hindi Editor Yogita Yadav. Read more

EPISODE 101

Ovaries female reproductive organ ka important hissa hain. Ye na sirf egg taiyar karti hain, balki female hormone bhi release karti hain. Par in dino Ovarian cancer ke, cases badht ... Read more

Ovaries female reproductive organ ka important hissa hain. Ye na sirf egg taiyar karti hain, balki female hormone bhi release karti hain. Par in dino Ovarian cancer ke, cases badhte ja rahe hai. Ye women mein hone wala 8th sabse risky cancer hai. ye kyu hota hai, iske symptoms kya hain aur iss se kaise bacha ja sakta hai, Ye sab janne ke liye suniye Healthy Zindagi ke iss episode ko, Jisme, apki host Yogita Yadav baat kar rahi hain women health expert Dr Ritu Sethi se. Read more

EPISODE 100

Sunshine vitamin ke bare me toh apne suna hi hoga. Haan wahi Dhoop se milne wala vitamin jo hum sab ko bilkul free me milta hai. Iske bawajood har 4 me se 3 Indians Vitamin D defic ... Read more

Sunshine vitamin ke bare me toh apne suna hi hoga. Haan wahi Dhoop se milne wala vitamin jo hum sab ko bilkul free me milta hai. Iske bawajood har 4 me se 3 Indians Vitamin D deficiency ka samna ka rahe hain. Jabki ye hamari Bone, Mental health aur growth ke liye bhi bahut zaruri hai. Kyu jyadatar log me rahi hai Vitamin D deficiency aur kya ho sakte hain iske side effect, Janne ke liye bat Health Shots podcast Healthy Zindagi ke is episode me bat karte hain orthopedic expert Dr. Aman dua se. Read more

1 2 3 4 5 13
×

COOKIES AND PRIVACY

The Website uses cookies to ensure you get the best experience on our website. If you continue browsing you will be providing your consent to our use of these.

Privacy Policy