Social taboos aur families ki purani conditioning ke karan LGBTQIA+ community ke logo ko lagatar identity, existence, self-respect, relationship aur pyar ke liye struggle karna pad ... Read more
Social taboos aur families ki purani conditioning ke karan LGBTQIA+ community ke logo ko lagatar identity, existence, self-respect, relationship aur pyar ke liye struggle karna padta hai. Jiski wajah se bahut sare log mental health issues ke shikar hone lagte hain. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me queer community representative aur senior psychologist Richa Vashista bata rahi hain mental health issues se kaise overcome hona hai. Read more
Thyroid hormone ka sahi star body function ke liye zaruri hai. Magar iska kam ya zyada hona apki sehat ko nuksan pahucha sakta hai. Khastaur se mahilao ko. International Thyroid Da ... Read more
Thyroid hormone ka sahi star body function ke liye zaruri hai. Magar iska kam ya zyada hona apki sehat ko nuksan pahucha sakta hai. Khastaur se mahilao ko. International Thyroid Day par janiye kyu imbalance hone lagta hai thyroid, iska kya hota hai sehat par asar aur ye apke period and fertility ko kaise affect karta hai. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me hamare sath hain fertility expert Dr Rashmika Gandhi. episode ko host kar rahi hain Yogita Yadav. Read more
Pregnancy ke 9 months ek woman ke liye amazing journey hote hain. Kabhi physical aur mental health issues ka samana karna, toh kabhi nanhe mehman ke aane ki khushi. Pregnancy ke 1s ... Read more
Pregnancy ke 9 months ek woman ke liye amazing journey hote hain. Kabhi physical aur mental health issues ka samana karna, toh kabhi nanhe mehman ke aane ki khushi. Pregnancy ke 1st week se lekar delivery tak ek maa ko kin issues ka samna karna padhta hai aur kya ho sakta hai unka samadhan, Bata rahi hain senior gynecologist Dr. Nupur Gupta and Dietician Dr. Archana Batra, Healthy Zindagi podcast ke iss Mother's Day special podcast me. Ise host kar rahi hain Yogita Yadav. Read more
carcinogens wo harmful chemical hain jo har jagah paye jate hain. Food, Utensils, pain aur bhi bahut sari cheezo me. Jo cancer ka karan ban sakte hain. Inse kaise bacha jaye aur in ... Read more
carcinogens wo harmful chemical hain jo har jagah paye jate hain. Food, Utensils, pain aur bhi bahut sari cheezo me. Jo cancer ka karan ban sakte hain. Inse kaise bacha jaye aur inke khilaf apni body ko kaise protect kiya jaye , ye jan ne ke liye tune in karen healthy zindagi podcast ka ye episode. Rajiv Gandhi Cancer Institute and Research Centre me oncology department ke director Dr Vineet Talwar bata rahe hain carcinogens ke bare me sab kuch. Read more
Yog jeewan ka adhar hai. Ye apki body aur mind ko tune karta hai. Jiss se apki productivity, focus aur glow me bhi improvement hoti hai. Magar kya wajah hai ki kuchh log Yogabhyas ... Read more
Yog jeewan ka adhar hai. Ye apki body aur mind ko tune karta hai. Jiss se apki productivity, focus aur glow me bhi improvement hoti hai. Magar kya wajah hai ki kuchh log Yogabhyas ke bawajood sust aur beemar nazar aate hain. Unhe anxiety aur mood swings hote hai. Kya unke abhyas me koi mistake rah jati hai? kya hai yogabhyas ka sahi tarika aur iss dauran kin galatiyon se bachna chahiye, Healthy Zindagi podcast ke iss episode me jante hain Yoga and spiritual guru Acharya Pratishtha se. Iss podcast ko host kar rahi hain Yogita Yadav. Read more
20 se 30 year ki age ko baby plan karne ke liye sabse healthy mana jata hai. Magar isi umra me females' career bana rahi hoti hain. Agar aap bhi der se baby plan karna chahti hai t ... Read more
20 se 30 year ki age ko baby plan karne ke liye sabse healthy mana jata hai. Magar isi umra me females' career bana rahi hoti hain. Agar aap bhi der se baby plan karna chahti hai toh egg freezing apke liye helpful ho sakti hai. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me senior fertility expert Dr Rita Bakshi bata rahi hai fertility aur egg freezing ke bare me sab kuchh. Is episode ki host hain Yogita Yadav. Read more
April is the autism awareness month. Autism ya Autism spectrum disorder ek esi condition hai jisme bachcha apne aap me hi gum rahta hai. Ese bachcho ko communication aur social sha ... Read more
April is the autism awareness month. Autism ya Autism spectrum disorder ek esi condition hai jisme bachcha apne aap me hi gum rahta hai. Ese bachcho ko communication aur social sharing me difficulties hoti hain. Autism ke cause, symptoms aur supportive therapy kya ho sakti hain, janne ke liye tune in karen healthy Zindagi podcast ka ye episode with Senior psychologist aur behaviour therapy expert Dr Sonam kothari se bat kar rahi hain host Yogita Yadav. Read more
Vaginal wash, vaginal perfume and vaginal lightening and tightening cream tak Sara bazaar women health ki fikra me hai. Par kya wastav me ye women health ka kuchh bhala kar rahe ha ... Read more
Vaginal wash, vaginal perfume and vaginal lightening and tightening cream tak Sara bazaar women health ki fikra me hai. Par kya wastav me ye women health ka kuchh bhala kar rahe hain? Ya reality Kuchh aur hi hai? Healthy Zindagi podcast me, Senior gynaecologist & the founder of Maitri Women Dr Anjali Kumar de rahi hain women health se jude kuch zaruri sawalo ke jawab. Unse bat kar rahi hain host Yogita Yadav. Read more
Homeopathy ek age-old alternative medicinal treatment process hai. Jisme healthy ko natural ingredients ke sath heal karne ki koshish ki jati hai. Duniya bhar me log iss holistic ... Read more
Homeopathy ek age-old alternative medicinal treatment process hai. Jisme healthy ko natural ingredients ke sath heal karne ki koshish ki jati hai. Duniya bhar me log iss holistic treatment par trust kar rahe hain. Iske bawajood Homeopathy ke bare me kayi myths prachalit hain. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me In myths ko bust kar rahe hain Homeopathic expert Dr Mukesh Batra. Iss programme ko host kar rahi hain Yogita Yadav. Read more
Hum sabhi har roz kisi na kisi tarah ke stress aur unpleasant situation ka smana karte hain. Kabhi kabhi bahut gussa bhi aata hai. Par jab yahi stress aur gussa anxiety aur isolati ... Read more
Hum sabhi har roz kisi na kisi tarah ke stress aur unpleasant situation ka smana karte hain. Kabhi kabhi bahut gussa bhi aata hai. Par jab yahi stress aur gussa anxiety aur isolation ka karan banne lagta hai, tab hame sawdhan ho jana chahiye. Stress, anxiety aur depression jaise mental health problems duniya bhar me social aur economic growth me barrier ban rahi hain. Inse kaise overcome hona hai, healthy Zindagi podcast ke iss episode me bata rahi hai senior psychologist Dr Neerja Agarwal. Iss program ko host kar rahi hain Yogita Yadav Read more