Follow
Partner with Us
Dealing with Down Syndrome as a parent
Dealing with Down Syndrome as a parent
00:00 / 00:00

Available Episodes

EPISODE 119

Hum sabhi har roz kisi na kisi tarah ke stress aur unpleasant situation ka smana karte hain. Kabhi kabhi bahut gussa bhi aata hai. Par jab yahi stress aur gussa anxiety aur isolati ... Read more

Hum sabhi har roz kisi na kisi tarah ke stress aur unpleasant situation ka smana karte hain. Kabhi kabhi bahut gussa bhi aata hai. Par jab yahi stress aur gussa anxiety aur isolation ka karan banne lagta hai, tab hame sawdhan ho jana chahiye. Stress, anxiety aur depression jaise mental health problems duniya bhar me social aur economic growth me barrier ban rahi hain. Inse kaise overcome hona hai, healthy Zindagi podcast ke iss episode me bata rahi hai senior psychologist Dr Neerja Agarwal. Iss program ko host kar rahi hain Yogita Yadav Read more

EPISODE 118

Autoimmune disease esa agyat khatra hai, jin se bach pana bahut mushkil hai. Ye apki muscles, bones, lungs, heart, brain aur skin ko bhi prabhavit kar sakti hain. Inke causes au ... Read more

Autoimmune disease esa agyat khatra hai, jin se bach pana bahut mushkil hai. Ye apki muscles, bones, lungs, heart, brain aur skin ko bhi prabhavit kar sakti hain. Inke causes aur symptoms ke bare me jankar inse better way me deal kiya ja sakta hai. Kya hain autoimmune diseases ke risk aur kya ho sakta hai inse deal karne ka upaye, Healthy Zindagi podcast ke iss episode me bata rahi hain senior Rheumatologist Dr Kiran Seth. Unke sath hain host Yogita Yadav. Read more

EPISODE 117

skin ka shade ya tone uski khoobsurti nahi hai, balki skin ka healthy hona real beauty hai. Bleaching, whitening elements se lekar fetal autoimmune disease tak Dermatologist Dr Mah ... Read more

skin ka shade ya tone uski khoobsurti nahi hai, balki skin ka healthy hona real beauty hai. Bleaching, whitening elements se lekar fetal autoimmune disease tak Dermatologist Dr Mahima Agarwal bata rahi hain skin health ke bare me kuchh zaruri baten. Tune in kijiye healthy Zindagi podcast, jise host kar rahi hain Yogita Yadav. Read more

EPISODE 116

Bahut zyada screen time, pollution aur bad lifestyle ke karan zyadatar logo ki eyes weak ho rahi hain. Dry eye, eye strain, glaucoma and diabetic retinopathy sahit eyes related pr ... Read more

Bahut zyada screen time, pollution aur bad lifestyle ke karan zyadatar logo ki eyes weak ho rahi hain. Dry eye, eye strain, glaucoma and diabetic retinopathy sahit eyes related problems bad rahi hain. Inse kaise bacha jaye, aur eyesight ko kaise better rakha jaye, jante hain healthy zindagi podcast ke iss episode me eye specialist Dr Saurabh Arora se. Podcast ko host kar rahi hain Yogita Yadav. Read more

EPISODE 115

Hum sabhi ne kabhi na kabhi toothache ka samna kiya hoga aur iske liye friends aur family ne kayi remedies bhi batayi hongi. Par sawal ye hai ki daily brush karne ke bad bhi teeth ... Read more

Hum sabhi ne kabhi na kabhi toothache ka samna kiya hoga aur iske liye friends aur family ne kayi remedies bhi batayi hongi. Par sawal ye hai ki daily brush karne ke bad bhi teeth kharab kyu hone lagte hain ya unme pain aur bleeding jesi problems kyu hone lagti hain. Dental health se jude ese hi sawalo ke jawab janne ke liye sunen Healthy Zindagi podcast ka ye episode . Jise host kar rahi hain Yogita Yadav aur expert hain Delhi based dentist Dr Nabhika Mittal. Read more

EPISODE 114

China and USA ke bad cancer ke sabse zyada cases ab India me dekhne me aa rahe hain. In me breast cancer, cervical cancer, colon cancer, lung cancer etc sabhi shamil hain. Akhir ky ... Read more

China and USA ke bad cancer ke sabse zyada cases ab India me dekhne me aa rahe hain. In me breast cancer, cervical cancer, colon cancer, lung cancer etc sabhi shamil hain. Akhir kyu badh rahe hain cancer cases aur inhe kaise control kiya ja sakta hai, Healthy Zindagi podcast ke iss episode me Rajiv Gandhi cancer institute me Senior Consultant & Head of Gynae Oncology Dr Vandana Jain se Jante hain. Podcast ko host kar rahi hain Yogita Yadav. Read more

EPISODE 113

naked eyes se Nazar na ane wale kuch tiny insects bhi serious diseases ka karan ban sakte hain. Unfortunately, Inke symptoms bahut salo bad nazar aate hain aur tab tak inka ilaz im ... Read more

naked eyes se Nazar na ane wale kuch tiny insects bhi serious diseases ka karan ban sakte hain. Unfortunately, Inke symptoms bahut salo bad nazar aate hain aur tab tak inka ilaz impossible ho chuka hota hai. Esi hi kuch bimariyo ko WHO ne neglected tropical diseases me rakha hai. janiya kya hain ye aur inse kaise bacha ja sakta hai, public health expert Dr. Bhupendra tripathi se.Main hoon aapki host Yogita Yadav, aur aap sun rahe hain hamara aaj ka special podcast. Chaliye, is vishay par aur gahrai se charcha karte hain. Read more

EPISODE 112

Cervical Cancer HPV se hone wala ek ghatak kism ka cancer hai. Iss se bachne ke liye zaruri hai ki aap sexually active hone se pahle sexually educate ho. Cervical cancer ke causes, ... Read more

Cervical Cancer HPV se hone wala ek ghatak kism ka cancer hai. Iss se bachne ke liye zaruri hai ki aap sexually active hone se pahle sexually educate ho. Cervical cancer ke causes, symptoms aur preventive measures par bat kar rahi hain senior gynecologist Dr Aruna Kalra. Janne ke liye suniy healthy zindagi ka ye episode Yogita Yadav ke sath. Read more

EPISODE 111

Sir se lekar pair tak apke shareer me kayi jagah par, kayi tarah ke pain hote hain. Par har pain ka ilaj sirf pain killer nahi hain. zara si laparwahi ise chronic pain bana sakti h ... Read more

Sir se lekar pair tak apke shareer me kayi jagah par, kayi tarah ke pain hote hain. Par har pain ka ilaj sirf pain killer nahi hain. zara si laparwahi ise chronic pain bana sakti hai. Health shots podcast Healthy Zindagi ke iss episode me Pune based chronic pain expert Dr Nivedita Page bata rahin hain pain ke causes aur different treatments. Read more

EPISODE 110

Diabetes ek lifestyle disorder hai. Ye jitni tezi se duniya bhar me badh rahi hai, uss se health ke liye chintaye badhna swabhavik hai. Unhealthy diet aur lifestyle type 2 diabetes ... Read more

Diabetes ek lifestyle disorder hai. Ye jitni tezi se duniya bhar me badh rahi hai, uss se health ke liye chintaye badhna swabhavik hai. Unhealthy diet aur lifestyle type 2 diabetes ke sabse bade Karan hain. Sugar se bachne ke liye zaruri hai ki aap apni diet par dhyan de, sath hi agar kisi ko diabetes hai, toh uska upchar bhi food par dhyan dekar kiya ja sakta hai. Dietician aur Diabetes educator Dr Archana Batra Healthy Zindagi ke iss episode me bata rahi hain foods ke madhyam se diabetes ko manage karne ka tarika. Tune in kijiye Yogita Yadav ke sath. Read more

1 2 3 4 13
×

COOKIES AND PRIVACY

The Website uses cookies to ensure you get the best experience on our website. If you continue browsing you will be providing your consent to our use of these.

Privacy Policy