Follow
Partner with Us
Maya
Maya
00:00 / 00:00

Available Episodes

EPISODE 104

Mana Lalach karna galat hai, jabki humare desh ki ek teesri abadi bhooki pyaas mein soti hai, or humare paas sab kuch hone ke bawajood bhi humein aur chahiye. Har maa-baap ka sapna ... Read more

Mana Lalach karna galat hai, jabki humare desh ki ek teesri abadi bhooki pyaas mein soti hai, or humare paas sab kuch hone ke bawajood bhi humein aur chahiye. Har maa-baap ka sapna hota hai apne bachon ke saath duniya ghoomne ka, unke saath samay bitane ka aur unka taraki karte hue dekhna. Shayad yehi unki asli khushi hai. Lekin Tushar ke liye, yeh sab sirf duniyavi moh maya tha. Usko in bandhanon se mukt hona tha, lekin usme aur ulajh ka rhe gaya. Kyun usne apne sabse pyaare logo ko mara? Kya humein apni khudh ki sunni chahiye ya kisi aur baba ki? Episode suniye aur dekhiye ki Tushar ne apni chahat ko paane ke liye kitna khoon kiya. Read more

EPISODE 103

What if ham sabke college ki bhootiya kahani sach ho jaaye? Yeh kahaani college liberary ke baare mein hai jahan kitabon ke beech koi to chhupa hai, jo kisi ko unhein kitabe hatane ... Read more

What if ham sabke college ki bhootiya kahani sach ho jaaye? Yeh kahaani college liberary ke baare mein hai jahan kitabon ke beech koi to chhupa hai, jo kisi ko unhein kitabe hatane nhi deta. you also wanna know ki yeh sab kya ho raha hai? ku ho rha hai? or kon kar rha hai. Tune in to listen college library - alphabaitcally books are arranged - khena hai - rana, book name - babarnama Read more

EPISODE 102

Whether it's a dream or reality, imagine finding yourself amid an intense World Cup match between India and Pakistan, only to have a cartoon channel suddenly take over your screen ... Read more

Whether it's a dream or reality, imagine finding yourself amid an intense World Cup match between India and Pakistan, only to have a cartoon channel suddenly take over your screen while you're living alone. Tune in to know how Nitin walks through the situation upon realizing he's not the sole occupant of the space. Will he choose to remain there despite the unexpected company? Read more

EPISODE 101

Bhangarh ke bhootiyaan aur uski rahasyamayi kahaniyan to hum sabne suni hain. Lekin, kya aapne kabhi Ajabgarh ke baare mein suna hai? Yeh ek aisa sheher hai jiski kahaani sunte hi ... Read more

Bhangarh ke bhootiyaan aur uski rahasyamayi kahaniyan to hum sabne suni hain. Lekin, kya aapne kabhi Ajabgarh ke baare mein suna hai? Yeh ek aisa sheher hai jiski kahaani sunte hi kisi ki rongte khade ho jaate hain. Gehre janglon aur khandharon se ghiri, yeh jagah aksar logon ke mann mein sawaal uthati hai: kya yeh jagah sach mein bhooton ka ghar hai? Lekin fir bhi, kuch logon ki himmat itni badi hoti hai ki ve is jagah ke rahasyon ka parda faash karne ki shart par tayar ho jaate hain. Rajveer aur Tilak ne bhi ek aisi shart mein apna jeevan daala, bhale he mazak-mazak mein daala gaya tha, lekin kehte hain na, dil ki baat zubaan pe aa hi jaati hai. Unka yeh safar unhe Ajabgarh ki gehraiyo tak le gaya, jahan khatarnak raaz aur anjaan darinde unke liye intezaar kar rahe the. Read more

EPISODE 100

Socho kabhi, kya mare hue log bhi pyaar kar sakte hain? Unka dil, unka shareef chor ne ke baad bhi dhadak sakta hai, vo bhi kisi anjaan ke liye. Meet Naveen, jiska koi nahi hai is ... Read more

Socho kabhi, kya mare hue log bhi pyaar kar sakte hain? Unka dil, unka shareef chor ne ke baad bhi dhadak sakta hai, vo bhi kisi anjaan ke liye. Meet Naveen, jiska koi nahi hai is duniya mein. Lekin ek akele ladki ko, jo pichle 5 saal se ussi highway pe hai, usse lift dene ka socha. Lekin usse kya pata ji, vo ladki nahi balki.....to know more what happened, Tune in Read more

EPISODE 99

ek aisi kahani hai jo aapko chhoti si jagah mein chhupi badi bhaavnayein dikhayegi. Rohit aur uske parivaar ki zindagi mein achanak se kya badlav aaya, yeh kahani unke safar ko bay ... Read more

ek aisi kahani hai jo aapko chhoti si jagah mein chhupi badi bhaavnayein dikhayegi. Rohit aur uske parivaar ki zindagi mein achanak se kya badlav aaya, yeh kahani unke safar ko bayaan karti hai. Deva Sharif ke mandiron ke raaz ka khulasa karte hue, yeh kahani aapko suspense mein le dubegi aur adhoori kahani ko poori karne ki talash mein lejayegi Kyunki aaj bhi ek duniya hai jisse science se aage nahi samjha ja sakta, lekin vo duniya hai... Read more

EPISODE 98

Kya aapne kabhi socha hai ki ek raat kaise kisi ki zindagi badal sakti hai? Kya kohre bhari raat me ek adhuri kahani, ek anjaane mod le sakti hai? "Ek Adhuri Kahani" ek aise hi raa ... Read more

Kya aapne kabhi socha hai ki ek raat kaise kisi ki zindagi badal sakti hai? Kya kohre bhari raat me ek adhuri kahani, ek anjaane mod le sakti hai? "Ek Adhuri Kahani" ek aise hi raaz se bhari raat ki dastaan hai, jahan Manish apni maa ki jaan bachane ke liye nikalta hai, lekin kismat usse kuch aur hi manzil pe le jaati hai. Kya Manish apni maa aur us anjaane doctor ki zindagi me ek nayi subah la payega? Ya kahani me chhupa woh raaz hamesha ke liye adhura reh jayega? Iss kahani ka kya mod aayega, jane ke liye bane rahiye aur is episode ko sunte rahiye. Read more

EPISODE 97

Kya Ramesh ki raat bhar ki uljhan sirf ek bura sapna tha? Raat ke andhere mein chhupi kuch kahaniyan sirf kisse nahi, balki chetavni bhi ban jati hain. Ramesh ki zindagi mein achan ... Read more

Kya Ramesh ki raat bhar ki uljhan sirf ek bura sapna tha? Raat ke andhere mein chhupi kuch kahaniyan sirf kisse nahi, balki chetavni bhi ban jati hain. Ramesh ki zindagi mein achanak aaye is mod par, Aek ghar, jismein sannata cheekh cheekh kar bol raha hai, aur ek aadmi, jo apne hi ghar mein mehsoos kar raha hai ajnabee ka saaya. Kya yeh sab kuch uski kalpana ka phal hai ya phir kisi chhipe hue sach ka ishara? Har pal, har second, banaye rakhega aapko apne radio ke kareeb, jahan har sur, har taal, ek nayi dastaan sunane ko bekarar hai. Tune in to uncover the mystery, and listen more! Read more

EPISODE 96

In the year 1960, Kolkata was a city of contrasts. Was it a place where the past met the present? Amit, an engineer, found himself at the docks one night. The sudden appearance of ... Read more

In the year 1960, Kolkata was a city of contrasts. Was it a place where the past met the present? Amit, an engineer, found himself at the docks one night. The sudden appearance of a mysterious ship left everyone in awe. What secrets did it hold, and why was it there? As Amit explored the ship, he found it well-maintained, almost untouched by time. What did this mean, and what was its message? Tune in to Listen. Read more

EPISODE 95

Kabhi purani computers se pareshan hue ho? Kya tum bhi strict teacher se dar ke practical class attend karte ho? Exams ke pressure ko kaise tackle karte ho? Jese bhi karte ho, par ... Read more

Kabhi purani computers se pareshan hue ho? Kya tum bhi strict teacher se dar ke practical class attend karte ho? Exams ke pressure ko kaise tackle karte ho? Jese bhi karte ho, par kabhi socha hai waise hi jese Rahul ne kiya? Kya kabhi computer ne khudh help ki ho apki apke bina khene par? Meet the old teacher of Rahul whom only Rahul knew and guess what? Wanna know more? Tune in to the episode! Read more

1 2 3 4 12
×

COOKIES AND PRIVACY

The Website uses cookies to ensure you get the best experience on our website. If you continue browsing you will be providing your consent to our use of these.

Privacy Policy